Thursday, 7 September 2017
Har Maqsad Mein Kamyabi ka Wazifa
Aaj men aap ko Har Maqsad Mein Kamyabi ka Wazifa men kamyabi ka wazifa bata raha hon. Matlab is wazifey ki barket sey keysa hi masla ho, keysey hi hajjat ho, keysey hi pareyshani ho In shaa Allah dor hogi. Zindagi men bohet sey masail hotey han jeyse shadi ka masla. Noukri na milna, ya nourki men tabdla kerwana, shoher ko rahey rast per lana, biwi k dil men mohabbat paida kerna. Bachon ka na hona, ya bachon ka nafarman hona.
Dushamn satatey han, business nichey ja raha hai, ya kisi sey bhi dosti kerna ho. Gharz her masley k liye Har Maqsad Mein Kamyabi ka Wazifa Karen aur apni hajjat pori Karen 21 din men.
Har Maqsad Mein Kamyabi ka Wazifa
Ye wazifa behter hai budh k din sey shoro Karen. Fajar ki namaz k baat 11 bar Darood Ibrahimi parhen, phir 100 bar Surah Toba ki akhiri ayet parhen, Phir akhir men phir Darood Ibrahimi parhen 11 bar, ye amal 21 din Karen, In shaa Allah 21 din men keysey hi masla ho hal hojaye ga.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment