Thursday, 7 September 2017
Ya Rahmanu Wazifa
Ya Rahmanu, Aye bakhshney waley rahmat nazil kerney waley. Ye ism jamali hai aur is k addad 298 hain. is ism ka khasa saey alam per rahmat nazil kerna hia. Bila qaid mazhab chaye musalman ho ya kafir, yahodi ho ya nusrani, Allah ka dost ho ya dushman, Insan ho ya janwar. Allah ney pani rahmat k 100 hison men sey 1 hisa is dunya men nazil fermaya hai.
Ya Rahmanu Wazifa
Jo shakhs aksr Ya Rahmanu parhey ga, us ka dil nihayet narm hoga. aur Allah ki khas rahmat men dakhil hoga. Jis kisi ko mushkil men deykhey ga foran madad k liye jaye ga.
Jo koi Fajar k baad 298 bar Ya Rahmanu Wazifa karey ga. Allah ki khas rehmat men hoga. Kabhi koi mushkil nahi aye gi. Her ek karobar men barkat hogi.
Dopahr k waqat yani zawal k time bawazu ho ker 41 bar Ya Rahmanu Wazifa ker k pani per dam karen. Jis ki ankhen dukhti hon us ki ankhon men lagain, her ek ankh men 7, 7 salayna lagain, in shaa Allah 3 din men ankhen theek hojain gi.
Fajar ki sunnat aur faraz k beech mareez k sarhaney kharey ho ker 121 bar Ya Allahu Ya Rahmanu Wazifa karen, 7 din karen, keysa hi mareez ho theek hojaye. Ager mout muqadar hai tu khatma eeman per ho. ye mujarib hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment